Tuesday, 26 July 2016

Doon Defence Academy Pays tribute to Kargil War heroes on Vijay Diwas (26 July) Dedicate to Indian soilders....

Doon Defence Academy Pays
tribute to Kargil War heroes on Vijay Diwas (26 July)
Dedicate to Indian soilders.............
Dedicate to Indian soilders.............

seema ke prahri gar seema par nahi hote....
holi na diwali koi teej na toyhaar hai....
darwaje to kya hain, khidki bhi kholne se pahle....
sochte ki bahar ki hawa ki raftaar kya hai.......

unke hawsle ka bhugtaan kya karega koi....
unki shahadat ka karj desh pr udhar hai....
aap aur ham is liye khushhaal hain Qki....
seema pe sainik shahadat ko taiyar hai......

dekhna mumkin bhi nhi, sochna bhi jinko muskil....
aise hadson ko hamne seene se lagaya hai....
hanth ko bhi hanth na dikhai de, wo andhiyara....
aise me hanthon ne hathiyaar ko uthaya hai.....

maa teri duwa ke dam se, anchal ki hawa ke dam se....
barfeeli chattano pe barood ko ugaya hai....
parinda bhi jahan par na maar sake....
us jagah ja ke bhi TIRANGA fahraya hai.....

kya huwa kuch pal ke liye saanse meri ruk gayi hai....
maa meri mujhko bhi is baat ka gumaan hai....
jab tak saanse rahi, seena dusman se sammukh tha....
aise seene pr meri saanse kurbaan hain......

mera shav dekho to kayar na samjh lena....
ye to un darindon ki pahchan hai....
vaise to pura shareer ghav se bhara huwa pr....
peeth pr marne ke baad ke nishaan hain.....

peeth ke nishan mere hausle ko gali denge....
varna to jiwan ka udhar leke jata mai....
chahe is lok jata, chahe us lok jata....
har ek ghav ko khuddar leke jata mai.....

kahin kisi bhav mil jati gar chand saanse.....
lahu girvi rakh udhaar leke aata mai....
hausla tha par meri sanse daga de gayi thi.....
varna TIRANGA seema par leke jata mai....

dobara janam lunga seema pr ladne ko....
TIRANGE ko apni jubaan deke aya hun....
dharti ke bin maange, mitti ke sitaare taange....
vardi ki maryada ko pahchaan deke aya hun.....

aan-baan-shaan sab lekar ke aaya hun....
teer jaise bete ko kamaan dekar aya hun....
jo bhi tha hasil diya tha, dube ko sahil diya tha.....
KARGIL ko dil diya tha, JAAN deke aya hun.......

Jai hind jai bharat.......

No comments:

Post a Comment